kahan aake rukne the raaste, kahan mod tha usey bhool jaa..
jo mil gaya use yaad rakh, jo na mila, usey bhool jaa…
woh tere naseeb ki baarishein kisi aur chhat per baras gayeen
dil-e-bekhabar meri baat sun, usey bhool jaa, usey bhool jaa…
mein to guum thha tere hi dhyaan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba kah gayi mere kaan mein, mere saath aa, usey bhool jaa…
kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, usey bhool jaa…
na woh aankh hi teri na woh khwaab hi tera khwaab thha
dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jaagna, usey bhool jaa…
jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raaste hi palat gaya
usey rokne se husool kya, usey mat bula, usey bhool jaa…
good poem dear
waise
kabhi shaan ka gana sunna bhool ja
thats also a nice song…………….